KYA TUMHE PATA HAI POETRY - Sainee Raj | Hindi Poetry

KYA TUMHE PATA HAI POETRY - Sainee Raj | Hindi Poetry | Poetryhit.com
KYA TUMHE PATA HAI POETRY - Sainee Raj | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Kya Tumhe Pata Hai (क्या तुम्हें पता है?) Poetry Lyrics by Sainee Raj: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Kya Tumhe Pata Hai Hindi Poetry written by Sainee Raj. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Kya Tumhe Pata Hai (क्या तुम्हें पता है)
Performed: Sainee Raj
Written: Sainee Raj
Translation: Yashluv Virwani
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}

Kya Tumhe Pata Hai Poetry Lyrics

Kya Tumhe Pata Hai. . ?
Toot Te Taare Toot Kar Kaha Jate Honge. . ?

Dhoop Raat Main Kaha Soti Hongi. . ?

Kya Panchhiyon Ko Bhi
Apne Ghar Walon Ki Yaad Aati Hongi. . ?

Nadi Beh Kar Samandar Se Milti Hai. . .
Samandar Kis Se Milta Hoga. . ?

Kya Tumhe Pata Hai. . ?
Toot Te Taare. . .
Taare Bhi Nahi Kehlate. . .

Mitti. . .

Mitti. . . Girti Hai Aasman Se Bas. . .
Par Mitti Se Hee Paid Ugte Hai. . .


Kya Tumhe Pata Hai. . ?
Ki Peedon Ki Jade Itna Kaskar Zamin Se Kyu Lipati Hai. . ?
Kya Unhai Bhi Kisi Ke Saath Hone Ka Ehsaas Bhata Hoga. . ?

Kya Isliye Hum Kas Kar Apni Yaadon Ko Pakde Baithen Hai. . ?
Ke Ek Din Unpar Bhi Phool Khil Aaye. . .

Kya Tumhe Pata Hai. . ?
Paido Par Aashiq Apna Naam Kyun Likh Jate Hai. . ?

Sang Jeene Marne Ki Kasme Jab Kho Jati Hongi
To Kahan Jakar Siskiya Leti Hongi. . ?

Aadate Bhi Kabhi Na Kabhi Chhut Jati Hongi
Aise Main Kalam Kar Paido Par Kya Likh Jate Honge. . ?

Kya Tumhe Pata Hai. . ?
Un Paido Par Kavitaye Khilti Hai. . .

Written By: Sainee Raj




This is the Kya Tumhe Pata Hai (क्या तुम्हें पता है) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like KYA TUMHE PATA HAI POETRY - Sainee Raj | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry