HO SAKE TOH RUK JAANA POETRY - Helly Shah | Hindi Poetry

HO SAKE TOH RUK JAANA POETRY - Helly Shah | Hindi Poetry | Poetryhit.com
HO SAKE TOH RUK JAANA POETRY - Helly Shah | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Ho Sake Toh Ruk Jaana (हो सके तो रुक जाना) Poetry Lyrics by Helly Shah: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. Music given by Samuel Pandya. While Ho Sake Toh Ruk Jaana Hindi Poetry written by Helly Shah and edited by Class Clown. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Ho Sake Toh Ruk Jaana (हो सके तो रुक जाना)
Performed: Helly Shah
Written: Helly Shah
Curated: Simar Singh
Mixing & Mastering: Sohaill Gandhi
Art Design: Allwyn Pereira
Shot: The Cuckoo Club (Bandra)
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}


Ho Sake Toh Ruk Jaana Poetry Lyrics


Mana Aaj Kal Log Saath Sirf
Aaj Se Kal Tak Hee Rehte Hai
Phir We Were Not Meant To Be. . .
Aisa Kuch Kehte Hai. . .

Mana Aaj Kal Sab Ko Jaldi Hai
Pyaar Par Ek Timestamp. . .
Ek Pabandhi Hai. . .
Lekin Tum Kaho. . .
Kya Itna Waqt Kafi Hai. . ?

Abhi Toh Kitna Kuch Baki Hai. . .

Abhi Pattjad Ki Hawa Ne
Patton Ko Jamin Par Bichaya Nahi. . .

Abhi Shabnam Ki Bundon Main
Sardi Ka Wo Ras Aaya Nahi. . .

Abhi Mahobbat Ka Ye Paymana Bhara Nahi
Abhi Yaadon Ka Mekhana Tum Se Khafa Nahi. . .

Abhi Kuch Baatein Bhi Aadhi Adhuri Hai
Abhi Bas Kuch Milon Ki Doori Hai. . .

Suno. . .
Agar Ho Sake Toh Ruk Jaana. . .

Abhi Tumhe Bachpan Ke Wabasta
Sabhi Rang Chakhane Hai. . .

Abhi Tumhare Sang Dhalti Jawaani Ke
Kuch Aur Din Bitane Hai. . .

Abhi Bharni Hai Mithaas Ke Dibboo Main
Ek Aur Ras Malai. . .

Abhi Pilani Hai Tumhe
Taaza-Taaza Dhabe Wali Chai. . .

Abhi Toh Ladna Hai Hamein
Chand Paiso Ke Piche. . .

Abhi Rakhna Hai Dono Ka Sapna
Ek Taqiye Ke Niche. . .

Suno. . .
Agar Ho Sake Toh Ruk Jaana. . .

Abhi Insta DM Se
WhatsApp Chat Tak Saath Chalna Hai. . .

Abhi Facebook Par Hamara
Relationship Status Bhi Badalna Hai. . .

Abhi Toh Mere Khat Bhi Tum Tak Pahonche Nahi
Abhi Kuch Harf Daben Hai Isharon Main Kahin. . .

Ab Bhi Afwaaon Main Charche Hamare Hain
Ab Bhi Aksharon Main Dhaai Tumhare Hain. . .

Suno. . .
Agar Ho Sake Toh Ruk Jaana. . .


Abhi Toote Taaron Ka
Hamari Khwaish Se Milna Baki Hai. . .

Abhi Tumhari Surat (Face) Par
Mehtaab Ka Dhalna Baki Hai. . .

Abhi Purane Zakhmo Ko
Bhar Aane Main Waqt Hai. .

Abhi Badalte Waqt Ko
Sabak Sikhane Main Waqt Hai. . .

Abhi Aansuo Ke Beech
Khusiyon Ke Samandar Beh Jate Hai. . .

Ab Poochho Mann Ki Vedna
Toh Bas Itna Hee Keh Pate Hai. . .

Ki Suno. . .
Agar Ho Sake Toh Ruk Jaana. . .

Har Aaj Se Kal Tak Hee Sahi. . .
Ho Sake Toh Ruk Jaana. . .

Aur Agar Na Ruk Paon
Toh Suno. . .
Ho Sake Toh Laut Aana. . .

Written By: Helly Shah




This is the Ho Sake Toh Ruk Jaana (हो सके तो रुक जाना) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like HO SAKE TOH RUK JAANA POETRY - Helly Shah | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry