TU BAN SHERNI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry

TU BAN SHERNI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry | Poetryhit.com
TU BAN SHERNI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Tu Ban Sherni (तू बन शेरनी) Poetry Lyrics by Priya Malik: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Tu Ban Sherni Hindi Poetry written by Priya Malik and edited by Nishant Thawrani. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Tu Ban Sherni (तू बन शेरनी)
Performed: Priya Malik
Written: Priya Malik
Mixing & Mastering: Sohaill Gandhi
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}

Tu Ban Sherni Poetry Lyrics


Sherni Hoon. . .
Aur Ek Maa Bhi. . .

Main Dahaadti Hoon
Aawwaz Meri Jitni Dabaao
Main Utna Hunkaarti Hoon. . .

Dushman Chaahe Kitne Bhi Hon
Main Un Sab Ko Lalkaarti Hoon. . .
Kaha Na. . .

Ek Maa Hoon. . .
Main Sabko Pachhadti Hoon. . .

Log Aksar Bhool Jaya Karte Hai Ke
Ek Sherni Jab Maa Banti Hai
Tab Woh Sabse Zyaada Takatvar Hoti Hai. . .

Zakhmi Ho Sakti Hai
Lekin Shikar Main Maahir Bhi Toh Hoti Hai. . .

Shikar Ban Na Jaaoon Isliye
Shikar Karne Chali Hoon. . .

Dosti Aur Dushmani Ka Saar Samajhne Chali Hoon. . .
Kya Sahi Hai Aur Kya Galat Yeh Farq Main Jaanne Chali Hoon. . .
Iss Dharm Sankat Ko Apne Karmo Se Main Sambhaalne Chali Hoon. . .

Iss Sahi Aur Galat Ki Ladaai Main
Matke Ki Mitti Se Pakka Rang Hai Mera
Iss Haar Aur Jeet Ki Tabaahi Main
Chattano Ki Shakti Se Drud Pran Hai Mera
Anpo Ki Raksha Karna Hee Dharm Hai Mera
Dushman Ko Paraajit Karna Hee Ab Karm Hai Mera. . .

Apno Se Dhoka Kha Kar Bhi
Chal Rahi Hoon Apne Raaste
Jo Raste Main Koi Aayega
Khatm Kar Doongi Parivaar Ke Vaaste. . .


Mera Pyaar Ek Vaar Hai
Mera Pyaar Ek Dahaad Hai
Meri Nafrat Ek Jang Hai
Baja Aaj Yudh Ka Shankh Hai. . .

Mujhe Aag Main Koodte Dekh Aaj Saari Duniya Dang Hai
Iss Aag Ki Lapto Se Hee Mashaal Maine Jalayi Hai. . .

Dhyaan Se Dekh Le Mujhe
Meri Lakeero Main Teri Tabaahi Hai. . .

Apno Ke Vaar Karne Ki Wajah Se Hee Toh Main Ghaayal Hui
Akeli Hoon Iss Raste Par Lekin Kabhi Kaayar Nahi Hui. . .

Sikhaya Hai Zindagi Ne Ke
Bharosa Wahi Todhte Hai
Jinpe Bharosa Kiya Jaata Hai. . .

Lekin Jeet Te Woh Hai Jinka Naam
Marne Ke Baad Bhi Liya Jata Hai. . .

Toh Naam Yaad Rakh Tu Mera
Tere Kaam Zaroor Aayega

Tera Ram Naam Jab Satya Hoga
Mera Naam Teri Zubaan Pe Aayega. . .

Arya Kehte Hain Sab Mujhe
Main Parvati Bhi Hun Aur Durga Bhi. . .

Aaj Maine Tujhe Lalkaara Hai
Tu Yudh Bhoomi Main Aa Toh Sahi. . .

Written By: Priya Malik




This is the Tu Ban Sherni (तू बन शेरनी) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like TU BAN SHERNI POETRY - Priya Malik | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry