MERI JAAN POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry

MERI JAAN POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com
MERI JAAN POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Meri Jaan (मेरी जान) (Valentines Special Love Poetry) Poetry Lyrics by Lovely Sharma: This Hindi Spoken Word Poetry Recited by her. While Meri Jaan Hindi Poetry written by Lovely Sharma. It's released by Kahi UnKahi YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel like PoetryHit)

Original Poetry Credits:
Poetry Title: Meri Jaan (मेरी जान)
Recited By: Lovely Sharma
Written: Lovely Sharma
Venue Partner: FNP Media
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Kahi UnKahi

Recreate Poetry Credits:
Poetry Title: Meri Jaan
Recited By: Lovely Sharma
Written: Lovely Sharma
Video Edit By: Jogi
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: PoetryHit

Meri Jaan Poetry Lyrics

Bhatke Hue Musafir Ka
Basera Ban Kar Aa Gaya...

Bhatke Hue Musafir Ka
Basera Ban Kar Aa Gaya
Meri Andheri Raaton Ka
Wo Savera Ban Kar Aa Gaya...

Kabr Me Padi
Laash Thi Maano...

Kabr Me Padi
Laash Thi Maano
Wo Saanso Ka
Sahara Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Aur Kon Kehta Hai
Ke Pyaar Milta Nahi...?

Kon Kehta Hai Ke
Pyaar Milta Nahi Hai...

Siya Ki Chokhat Par Wo
Ram Ban Kar Aa Gaya...

Maula Ke Sadge Main...

Maula Ke Sadge Main
Fikr Hazaar Ban Kar Aa Gaya...

Maula Ke Sadge Main
Fikr Hazaar Ban Kar Aa Gaya...

Dubti Hui Kashti Ki
Imdad Ban Kar Aa Gaya...

Tasabur Main The Jo Mehaz...

Tasabur Main The Jo Mehaz
Shadakat Main Wo Sab Ka
Aasmaan Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Aur Kon Kehta Hai Ki
Yaadein Sada Rehti Nahi Hai..?

Kon Kehta Hai Ki
Yaadein Sada Rehti Nahi Hai..?

Ajubo Ki Ginti Main
Wo Taaj Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Aalif Se Ye Tak...

Aalif Se Ye Tak
Mohabbat Ki Pehchan
Ban Kar Aa Gaya...

Aalif Se Ye Tak
Mohabbat Ki Pehchan
Ban Kar Aa Gaya...

Kare Savab Ja Jawab
Ban Kar Aa Gaya...

Holi Main Gulaal
Diwali Main Charag
Ban Ka Aa Gaya...

Meri Mehndi Ke Rang
Toh Kabhi Eid Ka Chand
Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Aur Kon Kehta Hai Ki
Rab Dikhta Nahi Hai..?

Kon Kehta Hai Ki
Rab Dikhta Nahi Hai..?

Meera Ki Zindagi Main
Wo Shyaam Ban Kar Aa Gaya..

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Musibaton Ke Saamne
Wo Deewar Ban Kar Aa Gaya...

Musibaton Ke Saamne
Wo Deewar Ban Kar Aa Gaya...

Ruthe Se Aasmaan Main
Pankho Ki Udaan Ban Kar Aa Gaya...

Hijr Ki Tadpan Main...

Hijr Ki Tadpan Main
Pritam Ka Paigaam
Ban Kar Aa Gaya...

Manzile Maut Tak
Humsafar Ka Naam
Ban Kar Aa Gaya...

Aur Kon Kehta Hai Ki
Pyaar Gina Nahi Ja Sakta...?

Kon Kehta Hai Ki
Pyaar Gina Nahi Ja Sakta...?

Dhai Aakhar Main
Wo Meri Puri Kahani
Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Meri Zindagi Main Wo
Jaan Ban Kar Aa Gaya...

Written By: Lovely Sharma

Meri Jaan Poetry | Hindi Spoken Word Poetry Lyrics


This is the end of Meri Jaan (मेरी जान) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like MERI JAAN POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry. Please contact us and send correct poetry.

If You Want To Publish Your Poetry On This Site Please Feel Free To Contact Us. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit
Previous Poetry Next Poetry