AB FARAK NAHI PADTA POETRY - Ruby Gupta | Hindi Poetry

AB FARAK NAHI PADTA POETRY - Ruby Gupta | Hindi Poetry | Poetryhit.com
AB FARAK NAHI PADTA POETRY - Ruby Gupta | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Ab Farak Nahi Padta (अब फर्क नहीं पड़ता) Poetry Lyrics by Ruby Gupta: This Hindi Spoken Word Poetry Recited by her. While Ab Farak Nahi Padta Hindi Poetry written by Ruby Gupta. It's released by Ruby Gupta YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel like PoetryHit)

Poetry Credits:
Poetry Title: Ab Farak Nahi Padta (अब फर्क नहीं पड़ता)
Recited By: Ruby Gupta
Written: Ruby Gupta
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Ruby Gupta

Ab Farak Nahi Padta Poetry Lyrics

Zindagi Main
Itna Kuch
Dekh Liya Hai...

Ki Ab Farak Padna Hee
Bandh Ho Gaya Hai...

Phir Chahe
Koi Paas Aaye
Ya Dur Jaye...

Saath Rahe
Ya Na Rahe...

Ab Farq Nahi Padta...

Hamesha
Apni Feelings Ko
Side Karke...

Dusro Ko
Ehamiyat Di...

Yahi Sochti Rahi Ki
Koi Bura Na Maan Jaaye...

Par Aisa Nahi Hai...

Yahan Logo Ko
Dusro Ke Jazbaaton Ki
Unke Feelings Ki
Koi Kadar Nahi Hai...

Bass Matlab Pura Hote Hee
Hum Unke Kisi Kaam Ke Nahi Rehte...

Isliye Ab Chahe Kisi Se
Baat Ho Ya Naa Ho
Ab Utna Lagaaw Hee
Nahi Raha Kisi Se...

Kyun Ki
Logo Ko Iss Hadd Tak
Badalte Dekh Liya
Ki Ab Yakeen Karna Hee
Mushkil Hai Kisi Par...

Phir Chahe Koi
Waisa Hee Rahe
Yaa Badal Jaaye...

Koi Ignore Kare
Ya Baat Kare...

Ab Farak Nahi Padta...

Kyun Ki...

Bahut Waqt
Barbaad Kar Liya
Unn Temporary Logo Par...

Bahut Yakin Kar Liya
Bahut Khelne Diya Sabko
Apne Hee Jazbaaton Ke Saath...

Lekin Bass...

Ab Na Toh
Kisi Ke Kareeb
Jane Main Sukoon Hai
Aur Naa Kisi Se
Dur Hone Main
Bura Lagta Hai...

Ab Jisko
Saath Rehna Hai Rahe
Dur Jana Hai Jaye...

Kyun Ki
Thak Gayi Hun
Dusro Ki Parwah Karte Karte...

Jabse Beparwah Hun
Bahut Sukoon Hai
Zindagi Main...

Aisa Sukoon Jo Kisi Ke
Saath Hone Par Bhi
Kabhi Nahi Mila...

Aur Yahi Sukoon
Mere Liye Mayne Rakhta Hai...

Naaki Woh Temporary Log
Jo Aaj Kuch Aur Kal Kuch
Ban Jate Hai...

Shaayad Waqt Ke Saath
Yeh Seekh Liya Hai Maine...

Ki Zindagi Main
Kabhi Kuch
Permanent Nahi Hota...

Yaha Tak Ki
Hum Khud Bhi Nahi...

Ab Na
Ek Hee Funda Jachta Hai...

Koi Aaye Toh Welcome
Aur Nahi Aaye Toh Bheed Kam...

Waise Bhi
Duniya Ke Tamaam
Rishto Main Pad Kar
Dekh Liya Hai...

Har Mod Pe
Rona Dhona Hee Hai...

Toh Inn Sab Jhamelo Main
Padne Se Behtar Hai Ki
Main Akele Hee Khush Rahun...

Bass Itna Pata Hai
Ki Jab Bahar Ki Cheezo Se
Farak Padna Bandh Ho Jaye Na...

Farak Tabhi Aata Hai...

Written By: Ruby Gupta


Ab Farak Nahi Padta Poetry | Hindi Spoken Word Poetry Lyrics


This is the end of Ab Farak Nahi Padta (अब फर्क नहीं पड़ता) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like AB FARAK NAHI PADTA POETRY - Ruby Gupta | Hindi Poetry. Please contact us and send correct poetry.

If You Want To Publish Your Poetry On This Site Please Feel Free To Contact Us. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit
Previous Poetry Next Poetry