MAUT KE KAABIL POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry

MAUT KE KAABIL POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com
MAUT KE KAABIL POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Maut Ke Kaabil (मौत के काबिल) (Sad Poetry) Poetry Lyrics by Lovely Sharma: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Maut Ke Kaabil Hindi Poetry written by Lovely Sharma. It's released by Lovely Sharma YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel like PoetryHit)

Poetry Credits:
Poetry Title: Maut Ke Kaabil (मौत के काबिल)
Performed: Lovely Sharma
Written: Lovely Sharma
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Lovely Sharma

Maut Ke Kaabil Poetry Lyrics

Tum Jab Gaye Naa. . .

Tumhare Jaane Ke Baad
Maine Bahot Khudko Sambhala. . .

Maine Bahot Socha Ki. . .

Hum Kabhi Na Milte
Toh Achha Hota. . .

Lekin Phir Bhi
Zehan Ne Naa
Tum Ko Ek Badd-Dua
Zaroor Di Thi. . .

Aur Badd-Dua
Yeh Thi Ki. . .

Jiss Dard Main
Main Jee Rahi Hun. . .

Jiss Tadap Ko
Main Mehsus
Kar Rahi Hun. . .

Tum Usko
Kyun Nahi
Jee Rahe. . ?

Tum Uss Dard Main
Uss Azihat Main
Kyun Nahi Ho. . ?

Uss Saari Tadap Ke Hisse-Daar
Akeli Meri Mohabbat Kyun Hai. . ?

Ek Badd-Dua. . .

Badd-Dua Yeh. . .

Hum Tum Bin
Jaise Jeete Hai. . .

Uss Maut Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Hum Tum Bin
Jaise Jeete Hai. . .

Uss Maut Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Ulfat Main
Jitna Tadpe Hai. . .

Uss Dard Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Jaise Raat
Amavas Meri Hai. . .

Uss Grehan Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Virhaa Jiss
Taqdir Main Shamil. . .

Uss Lakeer Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Hum Tum Bin
Jaise Jeete Hai. . .

Uss Maut Ke Kaabil
Tum Bhi Ho. . .

Written By: Lovely Sharma


Maut Ke Kaabil Poetry | Hindi Spoken Word Poetry Lyrics


This is the end of Maut Ke Kaabil (मौत के काबिल) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like MAUT KE KAABIL POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry. Please contact us and send correct poetry.

If You Want To Publish Your Poetry On This Site Please Feel Free To Contact Us. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit
Previous Poetry Next Poetry