KABHI AAOGE POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry

KABHI AAOGE POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com
KABHI AAOGE POETRY - Lovely Sharma | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Kabhi Aaoge (कभी आओगे) Poetry Lyrics by Lovely Sharma: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Kabhi Aaoge Hindi Poetry written by Lovely Sharma. It's released by Lovely Sharma YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Kabhi Aaoge (कभी आओगे)
Performed: Lovely Sharma
Written: Lovely Sharma
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Lovely Sharma {alertSuccess}

Kabhi Aaoge Poetry Lyrics


Kabhi Aaoge
Toh Batayenge
Ke Tere Jane Ke Baad
Kaise Bikhre The. . .

Yeh Khwab
Yeh Aansu
Aur Sare Vaade
Zamee Pe Pade The. . .

Tadapti Hui Yaade
Tera Naam Lekar
Tere Jane Ki Wajah
Mujhse Puchh Rahi Thi. . .

Aur Kamre Ki Sari Deeware
Chikh-Chikh Kar Mujhe Yeh
Samja Rahi Thi Ki Tum Chale Gaye. . .

Main Bilakhti Hui
Khud Main Seemat Jati
Par Siskiyo Ke Saath
Tere Jate Hue Kadmo Ki Aawaz Sunti. . .

Uss Waqt. . .

Uss Waqt
Malum Tha Ki
Tum Jaa Rahe Ho. . .

Par Yaqeen Nahi Kar Pa Rahi Thi
Iss Sach Par Ki Tum Kabhi Nahi Aaoge. . .

Aankho Ke Saamne
Teri Tasvir Niharte Hue
Khud Ko Bahot Samjaya. . .

Ki Do Pal Ka Gussa Hai
Kuch Lamho Main Shant Ho Kar
Tum Dode-Dode Vapas Chale Aaoge
Aur Mujeh Apne Gale Se Lagao Ge. . .

Par. . . Par. . . Par. . .

Bichadte Waqt
Teri Boli Hui Sari Kadvi Baate
Reh. . . Reh. . . Kar
Mere Kaano Main
Gunj Rahi Thi. . .

Aur Mere Andar
Meri Mari Hui Ruuh (Soul) Ko
Janjod Te Hue
Yeh Keh Rahi Thi. . .

Ki Galti Chahe Kisi Ki Bhi Ho
Ab. . . Ab Tumhare Laut Ne Ki
Sabhi Gunjaish Khatam Ho chuki Hai. . .

Main. . .

Main Chahte Hue Bhi
Tumhe Rok Nahi Pai
Aur Tum Na Chahte Hue Bhi
Mujhse Muh Mod Kar Chale Gaye. . .

Khule Hue Darwaze Ko Dekh Kar
Mann Main Bahot Baar Yeh Khayal Aaya
Ki Shaayad Tum Apne Kisi Bhuli Hui
Chiz Ko Lene Ke Bahane Hee Sahi
Vapas Aaoge Aur Main Tumhe
Kaise Na Kaise Karke Rok Lungi. . .

Lekin. . .

Ghanto Taak Main Bethe Hue Bhi
Jab Tum Nahi Aae
Toh Dil Main Yeh Baat
Tadpane Lagi Ki Ab Tum Kabhi Nahi Aaoge. . .

Kai Dino Tak Maine
Khud Se Milna Bhi
Band Kar Diya. . .

Mera Haal Kya Tha
Yeh Toh Koi Nahi Bata Sakta
Par Main. . . Main Nahi Rahi. . .

Bahot Sare Mauke Aise Hote The
Jahan Khushiya Toh Hoti Thi
Par Main Khush Nai Thi
Mano Koi Zinda Jism Ho
Jiski Ruh (Soul) Mar Chuki Ho. . .

Main Har Jagah Teri
Mojudgi Ko Dhundh Te Hue Baith Jati
Par Sivay Khali Pan Ke
Kuch Haath Na Lagta. . .

Aaj Bhi Yeh Khath
Sirf Iss Liye Likh Rahi Hun
Kyun Ki Chahti Hun Ki
Kabhi Tum Aaoge
Toh Bataenge Ke
Tere Jane Ke Baad
Kaise Bikhre The. . .

Lekin Phir Ye Baat
KhudKo Samjati Hun
Agar Mere Haal Ki
Tumhe Itni Parwah Hoti
Toh Mujhe Ye Khat Likhne Ki
Kabhi Zarurat Hee Nahi Padti. . .

Lekin Phir Bhi
Kabhi Aaoge
Toh Batayenge Zarur. . .

Ke Tere Jane Ke Baad
Kaise Bikhre The. . .

Written By: Lovely Sharma


Kabhi Aaoge Poetry | Hindi Spoken Word Poetry Lyrics


This is the Kabhi Aaoge (कभी आओगे) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like KABHI AAOGE POETRY - Lovely Sharma | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry.

If You Want To Publish Your Poetry On This Site Please Feel Free To Contact Us. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit {alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry