ISHQ KA INTEZAAR POETRY - Helly Shah | Hindi Poetry

ISHQ KA INTEZAAR POETRY - Helly Shah  | Hindi Poetry | Poetryhit.com
ISHQ KA INTEZAAR POETRY - Helly Shah  | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Ishq Ka Intezaar (इश्क का इंतज़ार) (Valentines Special Love Poetry) Poetry Lyrics by Helly Shah: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Ishq Ka Intezaar Hindi Poetry written by Helly Shah. It's released by Live By FNP Media YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel like PoetryHit)

Poetry Credits:
Poetry Title: Ishq Ka Intezaar (इश्क का इंतज़ार)
Performed: Helly Shah
Written: Helly Shah
Shot: Brahma Media
Venue Partner: FNP Media
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Live By FNP Media

Ishq Ka Intezaar Poetry Lyrics

Ek Baar Phir
Dimaag Dil Se Jeet Gaya. . .

Hum Ishq Ka Intezaar Karte Rahe
Aur Dekho Ek Aur Saal Beet Gaya. . .

Pehle Alag Sa Daur Tha. . .

Pehle Alag Sa Daur Tha
Mera Pehla Ishq Koi Aur Tha. . .

Tab Mohabbat Ki
Check Lists Hua Karti Thi. . .

7 Billion Ki Populations Main
Main Shidaat Se Dua Karti Thi
Ki Koi Ek Bana Hoga Sirf Mere Liye. . .

Woh Filmo Aur Kitabo Wala Hero
Jise Dekh Ke Dil Ki Taare
Statics Hua Karti Thi. . .

Tab Kise Pata Tha Ki
Yeh Romiyo Aur Juliyat
Ki Kahani Kitni Problamatics
Hua Karti Thi. . .

Toh Iss Liye
Purane Pyaar Ki
Tang Galiyon Ko
Bahot Peechhe
Chhod Aaye Hai. . .

Waqt Ke Saath He Mujhe
Mohabbat Ke Sabhi
Pehlu Nazar Aaye Hai. . .

Jaana Yeh Ki Zaroori Hai. . .

Zaroori Hai Ki
Ishq Ke Safar Main
Apni Aur Bhi Koi Manzil Ho. . .

Tanhai KI Mehfeel Main
Ek Dafa Hum Bhi Toh
Shaamil Ho. . .

Aur Iss Se Pehle Ki
Pyaar Mile. . .

Zaroori Hai Ki
Uss Pyaar Ke Hum
Kaabil Ho. . .

Toh Ab Nahi Chahiye Mujhe. . .

Nahi Chahiye Mujhe
Janmo-Janam Ka Waada
Bas Iss Safar Main
Woh Saath Ho. . .

Woh Love Letters Likhe
Ya Na Sahi. . .

Hamari Har Mousam
Mulakaat Ho. . .

Woh Kalai Pe Mera Naam Nahi Likhe
Par Uske Haathon Main Mera Haath Ho. . .

Kare Din Sabhi Dduniya Ke Naam
Mere Hisse Main Uski Har Raat Ho. . .

A Love That Means
My Versies With Rhyme. . .

A Love That Chances
The Borders Of Time. . .

Pyaar Esa Jo Ho Thoda
Over The Line. . .

Woh Truly Madly Wala Ishq
Jise Mil Saku Online. . .

Toh Ab Aane Wale Saal Main
Hai Yahi Umeed Ki
Phirse Kahin Dimaag Ki
Dil Se Na Ho Jeet. . .

Koi Aakar Mile Hum Se
Ishq Ke Raaste. . .

Saath Chalne Se Hee Toh
Aakhir Kam Honge Faasle. . .

And I Know That
It's Never to Late. . .

Lekin Daaw Pe Agar
Dil Ki Jeet Ho. . .

Then Love Can't Wait. . .

Written By: Helly Shah


Ishq Ka Intezaar Poetry | Hindi Spoken Word Poetry Lyrics


This is the end of Ishq Ka Intezaar (इश्क का इंतज़ार) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like ISHQ KA INTEZAAR POETRY - Helly Shah | Hindi Poetry. Please contact us and send correct poetry.

If You Want To Publish Your Poetry On This Site Please Feel Free To Contact Us. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit
Previous Poetry Next Poetry