TUM AAOGE NA MERI JAAN POETRY - Harsha Agrawal | Hindi Poetry

TUM AAOGE NA MERI JAAN POETRY - Harsha Agrawal | Hindi Poetry | Poetryhit.com
TUM AAOGE NA MERI JAAN POETRY - Harsha Agrawal | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Tum Aaoge Na Meri Jaan (तुम आओगे ना मेरी जान) Poetry Lyrics by Harsha Agrawal: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Tum Aaoge Na Meri Jaan Hindi Poetry written by Harsha Agrawal and produced by Brahma Media. It's released by Spill Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Tum Aaoge Na Meri Jaan (तुम आओगे ना मेरी जान)
Performed: Harsha Agrawal
Written: Harsha Agrawal
Produced: Brahma Media
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Spill Poetry{alertSuccess}

Tum Aaoge Na Meri Jaan Poetry Lyrics


Tum Barha (12) Hafto Baad
Shehar Laut Rahe Ho. . .

Aaj Tumhari Pasand Ki
Safed Chikan Kari Kurti Pehni Hai. . .

Mogre Ke Phoolon Ko
Apne Jode Mein Saja Rahi Hun. . .

Gulabo Ka Guldasta
Betaab Hota Jaraha Hai
Tumhare Swagat Ke Liye. . .

Mujhe Airpot Pe Dekh Kar
Tumhe Yakin Hi Nahi Hoga
Ki Main Waha Khadi Hun. . .

Tum Daud Ke Aaoge Mere Pass
Par Gale Nahi Lagaoge. . .

Bas Muskuraoge. . .

Jaise Hi Hum
Kali-Pili Taxi Mai Baithenge. . .

Safar Ke Saath Shuru Ho Jaegi
Hamari Kabhi Na Khatam Hone Wali Baatein. . .

Itne Dino So Jee Bhar Ke
Kahan Baat Kar Pae The Hum Dono. . ?

Phir Ek Badi Ajeeb Baat Hogi
Sirf Tumhari Aawaz Pahonchengi Mujhtak
Tumhare Kisse Nahi. . .

Mera Saara Dhyaan
Tumhare Chehre Ko
Takne Main Laga Jo Hoga. . .

Tumhe Nazar Bhar Ke
Itne Qareeb Se Dekhne Ka Mauka
Aakhir Kese Chhod Du. . .

Kuch Pal Baad Mujhse Raha Nahi Jaega
Aur Main Kaske Gale Lag Jaungi Tumhare
Bina Driver Ki Sharam Ke. . .

Pehle Hich-Kichaoge Tum
Yeh Janti Hun Main. . .


Par Jaise Hi Mera Itraa Ghulega
Tumhari Saanson Mein. . .

Tum Bhul Jaoge
Apni Hi Banayi Maryada
Aur Samet Loge Mujhe Apne Bhitar. . .

Magar. . .

Yeh Tum Bhi Jante Ho
Aur Mein Bhi. . .

Ki Tumhe Airpot Par
Receive Karne Ki Udaan Mein
Bas Apne Khayalon Ke Shehar Me
Bhar Sakti Hun. . .

Samaaj Ke Itne Daayron Mein
Bandhe Hai Hum Ke Tum Tak
Kuch Nahi Pahuncha Sakti. . .

Na Phool. . .
Na Khana. . .
Na Khat. . .

Par Daayren Insaan Ko Bandh Sakte Hai
Prem Ko Nahi. . .

Khas Kar
Mujh Jaisi
Mere Hi Zeedi Prem Ko  

Pichli Baar Jab Mile The Hum
Tumhara Roomal Rehgaya Tha Mere Pass. . .

Ussi Roomal Par
Apna Itraa Chidak Kar
Bhej Rahu Hun Tumhare Swagat Ke Liye. . .

Jis Pal Uss Roomal Ko Kholonge
Meri Khushboo Lipat Jayegi Tumse. . .

Aur Khinch Laegi Tumhe
Mere Khayalon Ke Shear Ki Aur. . .

Janha Mein Hun
Tum Ho
Aur Meri Khushboo Se Mehakta
Hamara Anant Aseemit Prem. . .

Mere Shehar
Tum Aaoge Na. . ?
Meri Jaan. . .

Written By: Harsha Agrawal




This is the Tum Aaoge Na Meri Jaan (तुम आओगे ना मेरी जान) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like TUM AAOGE NA MERI JAAN POETRY - Harsha Agrawal | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry