TOOTA KHILONA POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry

TOOTA KHILONA POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com
TOOTA KHILONA POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Toota Khilona (टूटा खिलौना) Poetry Lyrics by Nidhi Narwal: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. Music given by Samuel Pandya. While Toota Khilona Hindi Poetry written by Nidhi Narwal and edited by Simar Singh. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Toota Khilona (टूटा खिलौना)
Performed: Nidhi Narwal
Written: Nidhi Narwal
Curated: Simar Singh
Mixing & Mastering: Sohaill Gandhi
Shot: Micdrop (Delhi)
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}

Toota Khilona Poetry Lyrics

Meri Ek Tasweer Hai. . .


Meri Ek Tasweer Hai
Lagbhag 15 Saal Purani
Main Chhoti Si Nazar Aati Hun Usme. . .

Chhoti 4 Saal Ki Bachii
Jiske Dono Haantho Mein 2 Gudiya Hai
Jinki Haalat Behad Badtaar

Behad Badtaar. . .
Plastic Ki Woh Gudiya. . .

Phate Se Libaas Mein
Bigde Jinke Baal The
Toote-Foote Jinke Haal The. . .

Unhe Trophy Ki Tarah
Mein Upar Uthakar
Mein Bikhare Huese
Chhote Baalon Mein Hans Rahi Thi
Zoor Zoor Se Khil-Khila Ke
Bade Faqr Ke Saath
Jaise Jeet Liya Ho Maine Khokar Kuch. . .

Dikha Rahi Thi Maa Ko Mein
Apne Toote Khilone. . .

Khilone
Jo Meine Zeedi Hoke Kharidwae

Kuch Deer To Kheli Unse
Sambhal Kar
Pyaar Se
Aaram Se. . .

Phir Tood Phod Kar Tookde Unke
Maine Poore Gharme Unhe Phelaye. . .

Par Un Tookdo Ke Beech
Mein Poori Thi
Khush Thi. . .

Mera Toota Huwa Dil
Kyun Troofi Ki Tarah
Utha Nahi Paati
Dikha Nahi Paati
Mein Maa Ko Bata Nahi Paati Kyun. . ?

Iss Baar To Jabki Meine
Khud Isse Toda Bhi Nahi
Aur Bikhare Nahi Hai Tookde Iske
Simte Hue Hai Cineme Chubhte Hai
Har Jagah Jehan Mein
Fata-fata Sa Libas Dilka
Koi Dilchasp Nahi Iss Sine Mein Kyun. . ?

Aur Log
Sawal Hi Sawal Kare Hai
Aur Sawal Bhi Bemisaal Karte Hai. . .

Kehte Hai
Dil Toota Tumhara Hai Bhi Kabhi. . ?

Koi Tasweer Hi Nahi. . .

Koi Tasweer Hi Nahi
Toote Dil Ke Saath Mein. . .

Kyun. . ?

Phir Ab Mein Kya Jawab Dun. . ?

Dekho
Dil To Plastic Ka Nahi Hai. . .


Dil To Plastic Ka Nahi Hai
Dil Bazaar Me Bikta Nahi Hai
Dil Rang Be Ranga Nahi Hai
Kagaz Ki Kashti Ya Tiranga Nahi Hai
Dabbe Me Pack Hokar Nahi Aata
Dil Chaabi Se Chalaya Nahi Jata
Jaan Bsati Hai Dil Mein
Dil Yunhi To Gumaya Nahi Jata Na. . .

Toodkar Yun Farsh Par
Phelaya to Nahi Jata Na. . .

Aur Dil Toodne Wale Muskurate Hai
Dil Tood Kar. . .

Dil Toodne Wale Muskurate Hai
Dil Tood Kar. . .

Kyun. . ?

Na Baazaru Tha
Na Unka Tha
Toh Khona Nahi Tha Na. . .

Woh Tod Gaye Hai Kyun Dil Mera
Dil Toh Khilona Nahi Tha Na. . .

Dil Toh Khilona Nahi Tha. . .

Written By: Nidhi Narwal




This is the Toota Khilona (टूटा खिलौना) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like TOOTA KHILONA POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry