CHAI THANDI HO RAHI HAI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry

CHAI THANDI HO RAHI HAI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry | Poetryhit.com
CHAI THANDI HO RAHI HAI POETRY - Priya Malik | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Chai Thandi Ho Rahi Hai (चाय ठंडी हो रही है) Poetry Lyrics by Priya Malik: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. Music given by Samuel Pandya. While Chai Thandi Ho Rahi Hai Hindi Poetry written by Priya Malik and edited by Abhishek Bhutwani. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Chai Thandi Ho Rahi Hai (चाय ठंडी हो रही है)
Performed: Priya Malik
Written: Priya Malik
Curated: Simar Singh
Mixing & Mastering: Sohaill Gandhi
Art Design: Allwyn Pereira
Sound Recording: Yash Barse
Shot: The Habitat Cafe (Mumbai)
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}

Chai Thandi Ho Rahi Hai Poetry Lyrics


Aaj Ke Akhbaar Ki
Sabse Acchi Khabar Ho Tum. . .

Jo Acchi Khabar Ka Intezaar Main Hain
Unke Liye Sabr Ho Tum. . .

Din Chadne Ka Halla Aur Shor Ho Tum
Udti Patang Ki Lehraati Hui Dor Ho Tum
Neemkhwaabi Main Ugte Hue Sooraj Ki Laali Ho Tum
Meri Subah Ki Chai Ki Pehli Pyaali Ho Tum. . .

Sarkar Ke Khaarij Vaado Se Nahi Ho Tum
Share Market Ke Utaar Chadaavo Se Nahi Ho Tum
Nahi Ho Tum Badalte Mausam Ki Tarah
Ya Crypto Currency Ke Atpate Coins Ki Tarah. . .

Jo Naukri Dhoond Rahe Hai Unke Liye Kaam Ho Tum
Bhaagti Daudti Maa Ke Do Pal Ka Aaraam Ho Tum
Gali Main Khelte Hue Bachho Ki Muskaan Ho Tum
Jiski Batting Main Century Lag Gayi Ho Uski Shaan Ho Tum. . .

Dekho. . .
Sabzi Waala Bhi
Tumhaara Naam Lekar Pukaar Raha Hain Apne Graahak Ko
Nafa Aur Nuksaan Ki Baat Nahi. . .
Log Taras Rahe Hain Tumhari Aahat Ko. . .

Tumhaare Liye Aaj Na Jaane Kitno Ne Dil Se Mannat Maangi Hai. . .
Bhagwan Ka Number Dial Kiya Toh Unki Line Bhi Busy Aati Hai. . .

Baba Ke Office Ka Lunch Break Ho Tum
Sharma Ji Ke Bete Ki First Division Ka Cake Ho Tum
Fileon Ke Beech Rakha Hua Appreciation Letter Ho Tum
Canteen Ke Khaane Se Toh Bohot Better Ho Tum. . .

Sabse Neeche Waale Dabbe Main Rakhi Gud Ki Daali Ho Tum
Meri Dopahar Ki Chai Ki Pehli Pyaali Ho Tum. . .

Sadak Ke Horn Bajne Ki Aawaaz Se Lekar
Nashte Se Lekar Khaane Main Kya Banega. . ?
Office Main Aaj Kitni Filein Pending Rahengi. . ?
Kaunse Stock Ka Aaj Bhaav Girega
Sab Kuch Honay Ke Liye Tumhaara HonaBhi Toh Zaroori Hai. . .
Yeh Garam Chai Ki Pyaali Bin Tumhaare Hamesha Adhoori Hai. . .

Ab Ek Aisi Baat Kahoongi Jo Maine Tumhe Hazaar Baar Boli Hai. . .

Jaldi Aao. . .
Chai Thandi Ho Rahi Hai. . .

Written By: Priya Malik




This is the Chai Thandi Ho Rahi Hai (चाय ठंडी हो रही है) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like CHAI THANDI HO RAHI HAI POETRY - Priya Malik | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry