KOI TOH HO POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry

KOI TOH HO POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com
KOI TOH HO POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Koi Toh Ho (कोई तो हो) Poetry Lyrics by Nidhi Narwal: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Koi Toh Ho Hindi Poetry written by Nidhi Narwal and edited by Johnathan D'Souza. It's released by Spill Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Koi Toh Ho (कोई तो हो)
Performed: Nidhi Narwal
Written: Nidhi Narwal
Shot: The Habitat (Khar)
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Spill Poetry{alertSuccess}

Koi Toh Ho Poetry Lyrics


Koi Toh Ho. . .
Jo Sune. . . Toh Sune. . .
Bas Meri Nigahon Ko. . .

Kyu Ki Zuban Par Aksar Taale
Aur Nazron Main Bahot Sari
Kahaniya Rakhti Hun Main. . .

Woh Mujhse Baat Karne Aaye
Aur Kahe Ki Mujhse Nazre Milao. . .

Phir Ho Yu Ki Woh Kahe
Ki Kuch Kehna Chahti Ho. . .

Jo Nahi Kehna Chahti
Woh Toh Maine Sunn Liya. . .

Dil Toh Har Jaga Se Toota Huwa Hai Mera. . .
Dil Ke Har Kone Har Diwaal Main Cheed Hai. . .

Magar Koi Toh Ho. . .
Jo Jaankh Kar Andar Aane Me Dil-Chspi Rakhe
Jaankh Kar Bhagne Main Nahi. . .

Dil Toh Dher Ho Chuka Ek Ghar Hai
Jo Marammat Nahi Mangta Bas Sohabbat Mangta Hai. . .
Us Shakhs Ki Jo Ki Iski Tooti Hui Diwaaron Ke Andar Aakar
Ise Zor-Zor Se Yeh Bataye. . .
Ki Iski Bachi Kuchi Diwaaren Meli Hai. . .
Jo Rangi Ja Sakti Hai. . .

Kuch Tasvire Tangi Hai Ab Bhi Purani
Jo Phenki Ja Sakti Hai. . .

Haan Wese Kafi Nuksan Huwa Hai. . .
Daro Diwaar Ke Tootne Se Magar. . .
Iski Buniyaad Ab Bhi Salamat Hai. . .

Koi Toh Ho Ke Jo Dekhe. . .
Toh Dekhe Bas Mujhko. . .


Kahe Mujhse. . .
Ki Yeh Muskurahat Na Khubsurat Toh Hai
Magar Khaas Nahi. . .

Khaas Hai Yeh Zakhm. . .
Jo Tune Kamaye Hai. . .
Pehne Nahi. . .

Kahe Mujhse Ki. . .
Yeh Khushi Meri Hai. . .
Main Nahi. . .

Kahe Mujhse Ki. . .
Jo Main Dikhti Hoona Woh Main Hoon Nahi. . .

Kahe Mujhse Ki. . .
Main Apni Nazmo Ko
Apne Zehan Ke Aage Ka
Parda Bana Kar Rakhti Hoon. . .

Parda. . . Jiske Aaar-Paar Dikhta Hai. . .

Kahe Mujhse Ki
Meri Muskurahate Bas Meri Nakam Koshishe Hain. . .
Apne Jazbaat Par Lagam Lagane Ki. . .

Kahe Mujhse Ki
Yeh Naqaab Utar Kar Rakhde Tu. . .
Aur Aainaa Dekh Mehaz Khud Ko Dekhne Ke Liye. . .
Chhupane Ke Liye Nahi. . .

Kahe Mujhse Ki
Tu Dard Ka Chehra Hai. . .
Dararon Se Bhara Huwa Bigda Huwa. . .

Dard Jo Hasin Hai. . .
Ishq Hai. . .

Kahe Mujhse Ki
Tu Dard Hai. . .
Hasin Hai. . .
Ishq Hai. . .

Written By: Nidhi Narwal




This is the Koi Toh Ho (कोई तो हो) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like KOI TOH HO POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry