KABHI KABHI POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry

KABHI KABHI POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com
KABHI KABHI POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Kabhi Kabhi (कभी कभी) Poetry Lyrics by Nidhi Narwal: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. While Kabhi Kabhi Hindi Poetry written by Nidhi Narwal. It's released by Live By FNP Media YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Kabhi Kabhi (कभी कभी)
Performed: Nidhi Narwal
Written: Nidhi Narwal
Poetry Language: Hindi
Poetry Label: Live By FNP Media
Copyright: FNP Media{alertSuccess}

Kabhi Kabhi Poetry Lyrics


Kabhi Kabhi Main Pareshaan Ho Jati Hun. . .

Kabhi Kabhi Main Pareshaan Ho Jati Hun
Kalam Se Lad-Jagad Kar So Jati Hun. . .

Likhne Ka Dil Karta Hai. . .
Dil Ki Baatein. . .
Par Dil Tak Jaate Jaate Kho Jati Hun. . .

Kabhi Kabhi Samaj Nahi Aata Ki Main Kahan Hun. . ?
Kabhi Kabhi Yaqeen Nahi Hota Ki Main Yahan Hun. . .

Jab Khwaboon Se Rapt Dhundhle Huye Jate Hai
Tab Lagata Hai Ki Main Jo Bhi Hun Bewaja Hun. . .

Kabhi Kabhi Aankhon Ko Phool Nahi Bhate
Kabhi Kabhi Aankhon Ko Phool Nahi Bhate
Zindgi Ke Tane Baane Samaj Nahi Aate. . .

Muskurana Bahut Hee Bhari Kaam Lagta Hai
Par Palkon Se Aansu Bhi Phisal Nahi Pate. . .

Kabhi Kabhi Gussaa Aata Hai Mere Kyaal Par
Kabhi Kabhi Gussaa Aata Hai Mere Kyaal Par
Sabse Keh Deti Hun Mujhe Chhod Do Mere Haal Par. . .

Zindgi Ke Kadam Badhte Toh Hai Meri Taraf
Zindgi Ke Kadam Badhte Toh Hai Meri Taraf
Magar Phir Wo Tamache Si Padti Hai Mere Gaal Par. . .

Kabhi Kabhi Mere Haalaat Bahut Ulaj Jate Hai
Zimmedari Ki Aag Mein Armaan Julas Jate Hai. . .


Main Iss Tarah Dur Karne Lag Jati Hun Khud Ko Khud Se
Ki Mujhse Kagaz Kalam Milne Ko Taras Jate Hai. . .

Kabhi Kabhi Lagta Hai Ki Main Kuch Kar Nahi Sakti
Kabhi Kabhi Lagta Hai Ki Main Kuch Kar Nahi Sakti
Maano Saanse Bhi Khud Se Main Bhar Nahi Sakti. . .

Pukaar Lagati Rehti Hun Kewal Apne Ant Ko
Pukaar Lagati Rehti Hun Kewal Apne Ant Ko
Par Wo Samne Bhi Ho Khada Toh Main Mar Nahi Sakti. . .

Kabhi Kabhi Ummid Kandho Par Boj Lagti Hai. . .
Jaise Wo Laash Ho. . .

Kabhi Kabhi Apno Ki Hansi Namkin Lagti Hai. . .
Mere Ghaaw Par. . .

Kabhi Kabhi Ummid Kandho Par Boj Lagti Hai. . .
Jaise Wo Laash Ho. . .

Kabhi Kabhi Apno Ki Hansi Namkin Lagti Hai. . .
Mere Ghaaw Par. . .

Aankhon Ko Siway Meri Tabahi Ke Aur Kuch Nahi Dikhta
Meri Tabahi Wakai Badi Hasin Lagti Hai. . .

Kabhi Kabhi Lagta Hai Main Iss Jahaan Se Ek Jung Mein Hun
Kabhi Kabhi Lagta Hai Main Iss Jahaan Se Ek Jung Mein Hun
Aur Hathiyaar Daal Chuki Hun Itni Tang Main Hun. . .

Itne Rang Udenle Hai Logon Ne Mujh Par Aaj Talak
Ki Ab Lagta Hai Iss Duniya Main
Sabse Be-Rang Main Hun. . .

Sabse Be-Rang Main Hun. . .

Written By: Nidhi Narwal




This is the Kabhi Kabhi (कभी कभी) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like KABHI KABHI POETRY - Nidhi Narwal | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry