EK SAPNA POETRY - Anupriya Goenka | Hindi Poetry

EK SAPNA POETRY - Anupriya Goenka | Hindi Poetry | Poetryhit.com
EK SAPNA POETRY - Anupriya Goenka | Hindi Poetry | Poetryhit.com

Ek Sapna (एक सपना) Poetry by Anupriya Goenka: This Hindi Spoken Word Poetry Performed by her. Music given by Samuel Pandya. While Ek Sapna Hindi Poetry written by Sainee Raj and edited by Nishant Thawrani. It's released by UnErase Poetry YouTube Channel. (Please Support Our YouTube Channel Like PoetryHit)

Poetry Credits:

Poetry Title: Ek Sapna (एक सपना)
Performed: Anupriya Goenka
Written: Sainee Raj
Curated: Simar Singh
Mixing & Mastering: Sohaill Gandhi
Art Design: Allwyn Pereira
Shot: The Cuckoo Club (Bandra)
Poetry Language: Hindi
Special Occasion: The Women's Day Special
Poetry Label: UnErase Poetry{alertSuccess}

Ek Sapna Poetry Lyrics

Bees By Bees Ka Ghar
Dus By Dus Ka Kamra
Do By Do Ka Dil. . .

Aur Iss Mein Na Samaane Waala Ek Sapna. . .

Bade Sheher Ki
Badi Bheed Mein
Sukoon Ka Ek Sapna. . .

Chotte Pett Ki
Badi Bhookh Mein
Santushti Ka Ek Sapna. . .

Jo Na Dekhe Duniyadaari
Na Bebasi. . . Na Koi Laachaari. . .
Na Ji-Huzoori. . . Na Koi Majboori. . .
Woh Dil Kholkar. . .
Dil Lagane Ka Ek Sapna. . .

Dekho Tumse Yeh Diniya Kahengi
Tumhare Bas Ka Nahi Hai Yeh Sapna. . .


Aankhein Kholo. . .
Apni Asliyat Pehchaano. . .
Tum Jaise Log Nahi Dekha Karte
Aisa Dil Lagane Ka Ek Sapna. . .

Par Tum Maayoos Mat Hona
Logon Ka To Kaam Hai Kehna. . .

Ek Baar Rukkna. . .
Ek Martaba Jhukna. . .
Par Apne Dil Mein Sahej Kar Rakhna. . .
Woh Ishq Wala Sapna. . .

Tokk Lo. . .
Rokk Lo. . .
Lagado Tohmatein. . .

Ashq Se Uthega
Rashq Mitaane Wala Sapna. . .

Bees By Bees Ka Ghar
Dus By Dus Ka Kamra
Do By Do Ka Dil. . .

Kyun Samaaye Iss Mein Koi Bhi Sapna. . !

Written By: Sainee Raj




This is the Ek Sapna (एक सपना) Poetry Lyrics. If you find any mistake in poetry Like EK SAPNA POETRY - Anupriya Goenka | Hindi Spoken Word Poetry. Please contact us and send correct poetry. Thank You for Visit Our Site.

Furthermore Latest Spoken Word Poetry Lyrics In Hindi and English then stay with PoetryHit{alertInfo}
Previous Poetry Next Poetry